| Wo jo basti dekh rahe ho na saab | |
| Mera ghar hai wo | |
| Mera baap waha chai ke baghaan me kaam kiya karta tha | |
| Bada hasmuk insaan tha saab wo | |
| Sabki bohot madad karta tha | |
| Worker log bohot izzat karte the saab uski | |
| Union ka bada leader tha na wo | |
| Mujhe mere baap se bohot khushi mili saab bohot khushi | |
| Wo jo pedh dekg rahe ho na saab | |
| Mera baap roz mujhe waha jhula jhulata tha | |
| Jhula upar aur upar aur upar | |
| Jhula saye saye saye | |
| Aur jab jhula neeche aata tha na saab | |
| To pet me kesa lagta tha | |
| Bade acche din the saab wo bade acche din the ... | |
| Phir saab ek din police aayi aur mere baap ko utha kar chali gayi saab | |
| Yaha tak meri maa tak mujhe chodh kar chali gayi saab | |
| Kitte ka raha honga me itta sa raha honga | |
| Chali gayi saab wo | |
| Me rota raha bilakta raha chillata raha | |
| Magar majal ho ki kisi ne paani ke liye bhi pucha ho sab | |
| Is duniya me koi nahi hota hai apna saab koi nahi |