Wo jo basti dekh rahe ho na saab Mera ghar hai wo Mera baap waha chai ke baghaan me kaam kiya karta tha Bada hasmuk insaan tha saab wo Sabki bohot madad karta tha Worker log bohot izzat karte the saab uski Union ka bada leader tha na wo Mujhe mere baap se bohot khushi mili saab bohot khushi Wo jo pedh dekg rahe ho na saab Mera baap roz mujhe waha jhula jhulata tha Jhula upar aur upar aur upar Jhula saye saye saye Aur jab jhula neeche aata tha na saab To pet me kesa lagta tha Bade acche din the saab wo bade acche din the ... Phir saab ek din police aayi aur mere baap ko utha kar chali gayi saab Yaha tak meri maa tak mujhe chodh kar chali gayi saab Kitte ka raha honga me itta sa raha honga Chali gayi saab wo Me rota raha bilakta raha chillata raha Magar majal ho ki kisi ne paani ke liye bhi pucha ho sab Is duniya me koi nahi hota hai apna saab koi nahi