|
Saathiya, saathiya |
|
Maddham maddham teri geeli hansi |
|
Saathiya, saathiya |
|
Sunke humne saari pee li hansi |
|
(Hansti rahe tu hansti rahe |
|
Haya ki laali khilti rahe |
|
Zulf ke neeche gardan pe |
|
Subah-o-shaam milti rahe) - 2 |
|
Saundi si hansi teri khilti rahe milti rahe |
|
Peeli dhoop pehenke tum dekho baag mein mat jaana |
|
Bhanwre tumko sab chhedenge, phoolon mein mat jaana |
|
Maddham maddham hans de phir se |
|
Sona sona phir se hans de |
|
Taaza gire patte ki tarah sabz-e-laan par lete hue |
|
Saat rang hai bahaaron ke, ek ada mein lapete hue |
|
Saawan bhaadon saare tumse |
|
Mausam mausam hanste rehna |
|
Maddham maddham hanste rehna |
|
Saathiya, saathiya |
|
Maddham maddham teri geeli hansi |
|
Saathiya, saathiya |
|
Sunke humne saari pee li hansi |
|
Kabhi neeli aasmaan pe chalo ghoomne chale hum |
|
Koi abr mil gaya to zameen pe baras le hum |
|
Teri baali hil gayi hai |
|
Kabhi shab chamak uthi hai, kabhi shaam khil gayi hai |
|
Tere baalon ki panaah mein yeh siyaah raat guzre |
|
Teri kaali kaali aankhen koi ujli baat utre |
|
Teri ek hansi ke badle |
|
Meri yeh zameen le le, mera aasmaan le le |
|
Saathiya, saathiya |
|
Maddham maddham teri geeli hansi |
|
Saathiya, saathiya |
|
Sunke humne saari pee li hansi |
|
Barf giri ho vaadi mein |
|
Un mein lipti simti hui |
|
Barf giri ho vaadi mein |
|
Aur hansi teri goonje |
|
Un mein lipti simti hui |
|
Vaat kare, dhuaan nikle |
|
Garm garm ujla dhuaan, narm narm ujhla dhuaan |