|
Lafj kitne hi tere pairon se lipte honge |
|
... |
|
Tune jab aakhiri khat mera jalayaa. hoga |
|
... |
|
Tune jab phool kitaabon se nikale honge |
|
... |
|
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga |
|
... |
|
(Vocals Break) |
|
... |
|
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte |
|
... |
|
Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha |
|
... |
|
Churayi cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha |
|
... |
|
Woh jab kehte the mera naam tum tasbeeh mein padhte ho |
|
... |
|
Mohabbat ki namazo ko qaza karne se darte ho |
|
... |
|
Magar ab yaad aata hai woh baatein thi mehez baatein |
|
... |
|
Kahin baaton hi baaton mein mukarna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha |
|
... |
|
(Vocals Break) |
|
... |
|
Wahin hai sooratein apni, wahin main hoon wahin tum ho |
|
... |
|
Magar khoya huya hoon main, magar tum bhi kahin gum ho |
|
... |
|
Mohabbat mein daga ki thi so kaafir the so kaafir hain |
|
... |
|
Mili hai manzilein phir bhi musaafir the, musaafir hain |
|
... |
|
Tere dil ke nikaale hum kahaan bhatke, kahaan pahunche |
|
... |
|
Magar bhatke toh yaad aaya bhatakna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Zaroori tha ke hum dono tawafy arzoo karte |
|
... |
|
Magar phir arzoo-on ka bikharna bhi zaroori tha |
|
... |
|
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha... |
|
... |
|
...end... |