|
woh kehtey hain naa |
|
jo hota hai achey k liyey hota hai |
|
ghalat kehtey hain |
|
kismat ka khel hai saara |
|
phirta thaa main aawaara |
|
yeh kya sey kya hogaya |
|
chaar din ki zindagani |
|
har pal ek nayee kahani |
|
kya thaa main kya bann gaya |
|
kya hua jo laaree chooti |
|
jeevan ki gaaree lootee |
|
khuaab hai tu mujhko naa jagaa |
|
zindagi ek pal main saali |
|
yun palat gayee hamari |
|
jhoot hai tu mujhko naa bata |
|
mumbai, sunaa tha yahan aadmi poori zindagi apni kismat |
|
slow track se fast track laane mein nikaal deta hai |
|
par dhaayee ghantey mein meri kismat |
|
aisey slow track se fast track par aa jaayegi |
|
yeh maine kabhi socha naheen thaa |
|
saza maza ban jaayegi, yeh bhi kabhi socha nahi tha |
|
last local kya chooti, saala kismat patree par aa gayee |
|
karlo jo bhi karna hai |
|
hota hai jo hona hai |
|
guzra tu pal, yeh phir naa ayega |
|
kya bura hai kya bhala hai |
|
waqt hee shayad khuda hai |
|
hojaney do phir, dekha jaaeyga |
|
kya hua jo laaree chootee |
|
jeevan ki garee lootee |
|
khuaab hai tu mujhko naa jagaa |
|
zindagi ek pal main saali |
|
yun palat gayee hamaree |
|
jhoot hai tu mujhko na bata |
|
woh kehtey hain naa |
|
jo hota hai achey k liyey hota hai |
|
sahee kehtey hain |