作曲 : A R Rahman 作词 : Javeed Akhtar Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein Sare sehmein nazare hain Soye soye vaqt ke dhare hain Aur dil mein koi khoye si baatein hain Ooooo hooooo… Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein Kaise kahen kya hai sitam Sochte hai ab yeh hum Koi kaise kahen woh hai ya nahi humare Karte to hai saath safar Faasle hain phir bhi magar Jaise milte nahi kisi dariya ke do kinare Pass hain phir bhi paas nahi Humko yeh gum raas nahi Seeshe ki ek diware hai jaise darmiya Sare sehmein nazare hain Soye soye vaqt ke dhare hain Aur dil mein koi khoye si baatein hain Oooo hoooo.. Kehne ko Jashn-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein Hum ne jo tha nagma suna Dil ne tha usko chuna Yeh dastaan humein vaqt ne kaise sunai Hum jo agar hai gumgee Woh bhi udhar khush to nahi Mulakato mein hai jaise ghul si gai tanhai Milke bhi hum milte nahi Khilke bhi gul khilte nahi Aankhon mein hai baharein dil mein khiza Sare sehmein nazare hain Soye soye vaqt ke dhare hain Aur dil mein koi khoye si baatein hain oooo hoo Kehne ko Jashan-e-bahara hai Ishq yeh dekhke hairaan hai Phool se khusboo khafa khafa hai gulshan mein Chupa hai koi ranj fiza ki chilman mein