Parbaton pe baadlon kee zulf khul gayi Os jagamagaai, shaakh-shaakh dhul gayi Jaage nazare, jaagin bahaaren, jaage zameen-aasamaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum Thandi hawaayen, ujaleen fizaayein, mahakaa hua ye samaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum Gaata hai mausam, gaate hain panchi, gaati hain ye vaadiyaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum Phool ko koyi kiran jo chuumane lagee Zindagi bahaar ban ke jhuumane lagee Phool ko koyi kiran jo chuumane lagee Zindagi bahaar ban ke jhuumane lagee Raahoon mein rangon aur khushabuon ke nikale haseen kaaravaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum Thandi hawaayen, ujaleen fizaayein, mahakaa hua ye samaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum Ho gayi hai reshmi ye narm roshni Saans mein ghulaa hua hai geet sa koyi Ho gayi hai reshmi ye narm roshni Saans mein ghulaa hua hai geet sa koyi Khoin dishaaen, khoi hain raahen, khoe hain saare nishaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum Thandi hawaayen, ujaleen fizaayein, mahakaa hua ye samaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum Gaata hai mausam, gaate hain panchi, gaati hain ye vaadiyaan Aur hum-tum, aur hum-tum, aur hum-tum