Kuch reshmi hai, kuch khurdura Abhi beh chala hai, abhi hai ruka Haath mein hai ret sa Issaq tera Haath mein hai ret sa issaq tera Us paar tu hai, is paar main Lagta hai doobunga is baar main Jaane kahan hai le chala issaq tera Ho saare jahan se hai juda Issaq tera Issaq tera Issaq tera Ho ho ho... Tu mere, main tere saamne jab talak Yeh zamin, yeh falak khoobsurat lage Kisht mein hai mili aaj ki yeh khushi Gin rakhe hain maine kal ke lamhe sabhi Kuch der tujhko bhi tak lunga main Palkon ke koron mein rakh lunga main Hai subah ke khawab sa issaq tera Ho haathon mein hai ret sa issaq tera Us paar tu hai, is paar main Lagta hai doobunga is baar main Jaane kahan hai le chala issaq tera Ho saare jahan se hai juda issaq tera