作词 : Rohan Kishor 作曲 : Rohan Kishor Likhne ko yeh daastaan mile, Mita doon main yeh saare silsile. Main likh doon tumko gair, Aur khud ko likh doon dard-e-gham Jo gairon se mile. Har gaane mein kyun aashiqui? Main saath hoon ya hoon nahi, kya farq hai? Yeh harf hain jo kaagazon pe hain likhe, Dhul jaayenge yeh harf hain. Sab kuch mila hai, kar yakeen, Jo tu nahi toh jannatein bhi nark hain. Yeh harf hain jo kaagazon pe hain likhe, Dhul jaayenge yeh harf hain. Main ruk toh gaya tha, Main khud se juda tha. Jo kehta tu mera, woh mera kahaan tha? Tu mujhse khafa tha, Main khud se khafa tha… Khafa tha, khafa tha, khafa tha. Likhne ko yeh daastaan mile, Mita doon main yeh saare silsile. Main likh doon tumko gair, Aur khud ko likh doon dard-e-gham Jo gairon se mile.