作曲 : Kuntal De/Santhanam Srinivasan 作词 : Santhanam Srinivasan Amai dubaili re Amai bhashaili re Okool dauriaar boojhi kool naai re Talaash me teri imaaratein uchi Jo chaand ko chune koshish Paigam kuch aisa havaaon mein Syahi badalon se barse bhi ashken toh moti sa, Dhalne ko raat kai tute khwabon ke taare Kinare Kinare armaan naye se ye zakhm-e-nazaara hai kismat ka Jo is fakir se dil ko araam nahi Kis muqaam pe pahucha main aakhir Makaane khayalon ki ho jaate khali Thikane afasaanon ke jau mai bhool par aakhon mein roshni chubhe tumhari Aur Khamoshiyan bhi rang-e-bahar bewajah Bimaar ko mile karaar tere se Yu Bam-e-falak se azaad hoke mere gulshan mein nazm-e-hayat khilte dekh Janaza uthau main patjhad ke patton ka (Kyuki) Andaaza na manzil-fareb ka parindo ko (jisne) Nawaaza hai ziddipana meri kashti par us dhadaktey samundar ka chehra ho tum Jo Basera ho zulfon mein palqon mai choom mushairon ke mehfil mein ghazle sunoon main Apnau mohabbat ko qissa purana Bichadna naseeb to bhir aashikana Aye Saaqi tere saadgi mein sukoon mile mujhe Dhoop sa badi door se bahon mein tere Rooh ka ye suroor bayaan karu tujhe Doobta mehsoos na saason huey tere Chooke na ye fitoor kasoor kya mera Bhule na kabhi bhool tu ishq ye mera Surat-e-khursheed hain tu hi dawa mere moorat-e-marz ko arth diya ek Beshaq beshart diya Aur arz kiya hai janaab Mehmaan ko khaali haath na bhejieye Umr bharose hum nahi Zara nigaah e shauq se dekhieye toh Tere nazar ka tohfa kum nahi Hum mareez asiir - e - ishq - e maraz Kishton ko bhar, rishton ke bal Tinko se hal, drishyon me ab Bechargi bhi lage umda jaam sahi Barkarar charaag-e-ziist ki lau Awaaz e shikast ka naam nahi Amai dubaili re Amai bhashaili re Okool dauriaar boojhi kool naai re Pighalte waqt ke barfile pathar Sang e mar mar sa chamke ban kar Band kamre yaadon ke manzar Tasveer sa ubhar ke dastak doon Pushpak sa pustak me tere aksharo se guftagoo mai aksar fursat mile kuch pal, Teri qurbat mein shagufta gulab banu Filhaal samhaaley huey hain Diidaar unke mere zulmat mein Kya cheene meri ulfat ko koi Bas khamakha prashn uthaate hain Aate aur jaate khaaton mein lakh dikhaavebazi Yu pase palate taaki mazaak bane udaasi ab khaasu so toh aatish baazi Aur aakhon mein paalu andhi Jab tujh se hi meri duniya toh Tujh se duniyadari hain zahmatein sehne ko seh lunga sabr e samiim ke sagar mein tairu haa Jabki bhatakne ko mere hai raaste kai Bas tu lehro ko tere na mujhse kar mahruum (uh) Pahado ne mujhse kaha ki ye kalyug hai Par tujhse hi meri umiidii ka satyug hai Haq se guzaarti hai nadiyan chattano ko kaat ke us kaid bahaav ki karigari mein junoon Main boodon ki goonj mein gungunau gau muthi ke jugnu fizaao ko latau Aakhon se mere tu na reh poshiida hai mujhko zaroorat bas teri hi chaav ki Htar padhaav har chaadav Hadbada kar ladakhadau Ab batao tum Bin tere main sirphira main sirf gira ye sisila chala Bachao tum Hava-e-shab Ab aye kab Ada-e-husn ke husn e ada mein bas tu Dua karu juda na ho tu aashram ek aashiyana aur hum tum Kavi ko mere kabhi kisi prerna ki der na ho, ped shaakon men phal tera amrit, tu hi meri manzil tu hi meri Urdu mera sanskrit