Behti hawa sa tha woh Udti patang sa tha woh Kahan gaya usae dhoondo Behti hawa sa tha woh Udti patang sa tha woh Kahan gaya usae dhoondo Hum ko to raahein thi chalati Woh khud apni raah banata Girta, sambhalta, masti mein chalta tha woh Hum ko kal ki fikr sataati Woh bus aaj ka jashn manaata Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh Kahan se aaya tha woh Chhoo ke humare dil ko Kahan gaya usae dhoondo Sulagti dhoop mein chhaaon ke jaisa Raegistaan mein gaaon ke jaisa Mann ke ghav pe marham jaisa tha woh Hum sahme se rehte koovein mein Woh nadiya mein gotae lagata Ulti dhara cheer ke tairta tha woh Baadal awara tha woh Yaar humara tha woh Kahan gaya usae dhoondo Hum ko to raahein thi chalati Woh khud apni raah banata Girta, sambhalta, Masti mein chalta tha woh Hum ko kal ki fikr sataati Woh bus aaj ka jashn manaata Har lamhe ko khul ke jeeta tha woh Kahan se aaya tha woh Chhoo ke humare dil ko Kahan gaya usae dhoondo