作词 : Narci 作曲 : Maniac Mehnat hi ki maine chala hoon kaanton pe Struggle dikhe tabhi to baaton mein Shayari bana di hai maine hai halaat Ghalib banaya hai jab se halaaton ne bacchon ke beech, jaise tha cheel Wo they naadan, main tha wazeer Poochoge 'gar mujhe meri aukaat Tarkash mein maine rakha Brahmashirsha Baatein bhi gehri main kitni kahun? Syaahi hai gaadhi ya mera lahu? Dil hai nafees, fitrat ghamandi Sabko jhuka doon ya jhuk ke rahun? Chalti kalam mein hi mera sukoon Lafzon mein dooba hai mera junoon Nikle ehsaas Maniac ki beat pe Jaise jism se behta lahu Tukde salamat hai dil maana toota hai Shayar ka hasta ye chehra bhi jhoota Peeche hai vaar, laakho sitam Dekhonge khanjar ya pehle zakhm? Pehle rakm tai hoti rishton ki Bikna zameer kehte hai isko hi Baatein kare hum khud se kabhi Chupke se aankhein bhi bhar li kabhi Akela lada main to halaaton se Maangi na maine tassali kabhi Kitno ne dekha jo maine saha? Tum they kya haazir bolo wahan? Kaise bina jaane mujhe Meri kahani karoge bayaan? (x2) Unkahi baaton ka kya hai pata? Pehle apni kahani se parda hata Baatein banaatein jo peeche khade Mere ghar ke halaaton ka kya hai pata? Sil bhi kameena tikta nahi Mazboori mein jeena bikta nahi Dikhta hai sabko haathon mein jaam Par behta paseena ye dikhta nahi Shayar ka naam mitata nahi Pancchi falak ka main bikta nahi Haathon mein hulchal hai dil ki raza Main bina ehsaason ke likhta nahi Vairi tangein ghazalon ke fandon pe Baithey hai farz shayar ke kandhon pe Jhaadun kalam 'gar jhatke se main Chheentein lahu ke girenge panno pe Kheenchunga dhyaan fir se sabhi ka Swagat mehfil mein fir se sabhi ka 'Mirza' bana main na kabhi 'Ghalib' bana par main dil se sabhi ka Neki bhi ki, kiye gunaah Khud ko hi likhte hai hoti subah Meri hasi se waaqif ho tum Sshko ke mere 'gar tum they gavah Taano ka rakha na thoda malaal Kaiyon ki bana hoon main bhi misaal Baatein kare jo peeche filhaal Sabse hai mera ek hi sawaal Saath khade aur dikhwaati, Dono gavaahon mein fark hai Shayari ke mausam se bhara hai dil Tabhi lafzon ki fizaaon mein fark hai Nahi rokta hoon mere baare mein duniya ko batane se janab Batao lekin haqeeqat Kyunki sacche kisso aur udti afwahaon mein fark hai