Baatein joh dil mai thi Panno pai hai likhdi Kehdu mai kehlu yeh jara Yaadein puraani hai Lagti kahani hai Sunlo ab meri daastaan 16 saal, zimmedaari aayi sir pai Kaam chalu kiya choti si umar mai Jeb khaali par unche rakhe sapne Bina haare bina dare badhta chala mai sabar SE Koshish toh puri ki, manjil mai duri thi Kaatein akele hi woh raastein College hua band, chod di padhai 12 ghante kaam mehant lagai Hip hop se maine kar li sagai Ghar walo ko tab fikar satai Par maine thana tha, aage jamaana tha Joh socha sab woh ab karke dikhana tha Baatein joh dil mai thi Panno pai hai likhdi Kehdu mai kehlu yeh jara Yaadein puraani hai Lagti kahani hai Sunlo ab meri daastaan Saathi badhe aage, peeche tha mai thehra Aati Khudpe sharm laga chipaane mai chehra Haar ki woh chote ghaav bhi tha gehra Log dete taane apmaan bhi tha sehra Ek tarf kua dusre taraf khaai thi Koi nai saath... ab bass parchaai thi Musibatein saari... saath ghar aayi thi Jindagi mai meri puri uddasi si chaayi thi Phir utha li kalam, aur likh diye gum saare Mehnat aur lagan lage waqt mera chamkaane Dekh meri safalta log bole tham ja re Subah ugah suraj shaam ko toh dhalta hai Log bole joh bhi muze farak nahi padta Jise haarne ka ho dar, woh bheed se alag nahi chalta Mai alag hi hu ladhta, alag meri league hai Yeh journey ne banaya prayag ko rockbeat hai Baatein joh dil mai thi Panno pai hai likhdi Kehdu mai kehlu yeh jara Yaadein puraani hai Lagti kahani hai Sunlo ab meri daastaan