Ya They keep on talkin talkin talkin BlaBlaBla Asliyat kisiko nahi pata hai Jamnapaar se uchal gaya ladka Ek sheher ne uchal diya iss ladke ko Shuruvaat maine kab thi kisko pata? Sapna 2006 mai ye dekha tha 2008 mai pehla gaana bhi beka tha Par sabko toh laga jamnapar pehla tha Na yawar or maine kara hai struggle Khud ko khoja khud na kari kabhi nakal Ye rap mera thoda saral hindi mai Taaki 12 saal samajh aaye kaise kara hustle 2 bhai ek sath or ek dost thi Vo rap nahi karti thi fir bhi vo close thi Jab bhi likhke aate the gaana naya Smile uske mu pe vo bohot khush hoti thi Ham dono ne kabhi na beta sath choda Tabhi 12 saal bhi dekho seena mai aaj chauda Sath mai khwaab dekhe aastin mai sapa dekhe Fir bhi kabhi na ek dusre ka raaz khola Aisi aisi raate sath hai bitaai,sath kari hai kamai Sath bandiya patai Par bohot dukh jhele inn saalo mai Kese mai batau kaisi zindagi bitaai Yawar padhai mai thoda bohot weak tha Mai scholar tha fir bhi mai bana fan streets ka 2012 pehli baar check u weed mujhe aisa dekh yawar hua na umeed tha Kya karta mai bhi addict bana karke nashe beat pe bajta tha dhik tana Akal aane pehle ek dost mila or khub seekha mujhse na lagta tha chor Karta tha nashe vo bhi,naam lena chaata nahi Nasho ke sath vo bhi sath gaya chodd Bas ek bhai mila jiski zarurat thi Yawar bhai mile chahiye kya or? Artistaan kandho pe Thukraai badi deals ya fir bolu kuch chand rupay? Paise aate honge raste mai honge kahi Feka hua khaate nahi bane nahi kauvvo se Insaan hai or sath mai imaan hai Ye balak hai tabhi iss baat se anjaan hai Quick fame mili dode chale dalle ye Mehnat ki khaayenge sabko salaam hai Aaj maa ko mere kaam se pyaar Aaj lakho sunne ko bekarar Aaj behne meri dur bethi dekhti hai Ye vahi bhai hai jo haklata tha bohot Apni kamiyo se seekha hai Ye sab galti ka natija hai Galtiya insaan se hi hoti hai karo par seekhlo yehi maine seekha hai Ab alvida itna hi damm tha ya fir kahu itna hi gam tha? Bohot samay hua kuch naya suna nahi kyuki ab samay meri pehli album ka YAWAR ON THE MUSIC!!