作词 : Spitfire 作曲 : RĀKHIS/Nuka Vartalap hain sangeen rakho kaan khule Raza pe ras milega bas faras sa aage chal de Mrada ye bin taral ke, geet inke saare mal se Khojo hal ya phir main dhyaan har loon tera chhal se Ghazal ke bol ye nape tule hai dil tarazu Main Krishna ki hoon baansuri tujhe main kar loon kaabu Main bhasm karke tujhko hi rama loon tan pe apne Sapne hai anant jaise Shiv main baitha ban ke sadhu Na hasr ka pata na kasht mein kasar rahi Hai waqt mrat ye bas haan zindagi guzar rahi Main shaks na bana to phir banunga main katha nahi Syahi na bahi ko aisi koi bhi vyatha nahi Main naye baalakon ko kehta rang lo kaagzaat Ye banna chaahte sitaare main to banta raat Baatein chhodo betuki sudhaar lo hayaat Naam tumko pehle hi pata hai sabko kar du khaak Main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan Gaane wala besharam ye dhun hai behaya Kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe Jalega dil suno ye geet kaafi garam sa Main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan Gaane wala besharam ye dhun hai behaya Kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe Jalega dil suno ye geet kaafi garam sa Panktiyaan hai sard aaj bhi hai thand kaafi Kaali syahi kaali ban rahi prachand kaafi Ye kehte Mishraji ka ladka gaata mand kaafi Pradarshani hai tu aur tez kab hai chalti jhaanki Virah mein baithi aatma ki laalsa ki kasm Bahega khoon kaano se ye bahut katl nazm Bas ye sacche aashiqon ko hi lage gulon si Baaki saare sool main banaa ke dhool kar du bhasm Hai janam ye bas ek hi Din ye kam karam anek hai Nigaah to mili hai sab ko hi Par ye mann se na hai dekhte Har ek ansh keemti hai rakh lo tum sambhaal Kasaai na main par ye vaani karti hai halaal Jawab banti aankhein mooh ye jab kare sawaal Bol deta mann mein aata jo main na karu malaal Main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan Gaane wala besharam ye dhun hai behaya Kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe Jalega dil suno ye geet kaafi garam sa Main panktiyon mein karta hoon ye saare gham bayaan Gaane wala besharam ye dhun hai behaya Kala ko meri pahuchana hai mujhe charan pe Jalega dil suno ye geet kaafi garam sa