Neki ki raah pe tu chal Rabba rahega tere sang Neki ki raah pe tu chal Rabba rahega tere sang Woh to hai tere dil mein haan Tu kyun bahar use dhoondhta Neki ki raah pe tu chal Rabba rahega tere sang Kabhi hai woh saahil pe Kabhi hai woh maujon pe Kabhi hai parinda woh udta hua Woh to khuda hai, jeevan hairan hai Usko na mazhab mein na kaid karna Woh wafaadar hai Haan khud hi pyar hai Saaye mein uske sukoon kitna Duniya ka noor hai, na tumse door hai Pakeezagi mein woh hai basta Noor-e-khuda ka hai aasra Woh hi to hai apna Yeh jahan uska hai Neki ki raah pe tu chal Rabba rahega tere sang Woh to hai tere dil mein haan Tu kyun bahar use dhoondhta Neki ki raah pe tu chal Rabba rahega tere sang Rab se mohabbat kar Uski ibaadat kar Usne hi di hai hamein zindagi Uske karam se, har vachan se Raahon pe teri giregi roshni Sabko tu maaf kar, khud na insaf kar Uspe to haq bas khuda ka hi hai Tu auron se is qadar mil Jaise tu chaahe woh tujhse mile, .. Kar yeh shuruaat, imaan laa, To parbat bhi tere hukum pe chalega .. Neki ki raah pe tu chal Rabba rahega tere sang Woh to hai tere dil mein haan Tu kyun bahar use dhoondhta Neki ki raah pe tu chal Rabba rahega tere sang