Mausam ney lee angdaayi, aayi, aayi Lehraake barkha phir chaayi, chaayi, chaayi Jhoka hawa kaa aayega aur yeh diya buj jaayega Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya Ho.. hm.. Silsila yeh chaahat ka na maine bujhne diya Oh piya, yeh diya naa bujha hai, naa bujhega Mere chaahat ka diya Mere piya ab aaja re mere piya Ho.. mere piya ab aaja re mere piya Is diye sang jal raha mera rom rom rom aur jiya Ab aaja re mere piya Ho.. mere piya ab aaja re mere piya Faasla tha doori thi Faasla tha doori thi Tha judaai kaa aalam Intezaar mein nazrein thi Aur tum wahan the, tum wahan the, tum wahan the Jhilmilaatey jagmagaatey khushiyon mein jhoom kar Aur yahan jal rahe the hum Aur yahan jal rahe the hum Phir se baadal garja hai Garaj garaj ke barsa hai Ghoom ke toofan aaya hai Par tujhko bujha nahin paaya hai O piya yeh diya Chaahe jitna satay tujhe yeh saawan Yeh hawa aur yeh bijliyaan Mere piya ab aaja re mere piya Ho.. mere piya ab aaja re mere piya Dekho yeh pagli deewani Duniya se hai yeh anjaani Jhoka hawa ka aayega aur iska piya sang laayega Oh piya ab aaja re mere piya Silsila yeh chaahat ka na dil se bujhne diya Oh piya yeh diya Silsila yeh chaahat ka na dil se bujhne diya Oh piya yeh diya Aye piya.. piya.. piya